kamal dekhiye sab ka yaqin jalaya gaya
kamāl dekhiye sab kā yaqīñ jalāyā gayā
maiñ ik charāġh huuñ mujh ko nahīñ jalāyā gayā
ye sāneha bhī kisī buġhz kī alāmat hai
makān chhoḌ diyā aur makīñ jalāyā gayā
ḳhudā kā is se baḌā aur kyā karam hogā
jahāñ bujhāyā thā mujh ko vahīñ jalāyā gayā
use batānā havā se nahīñ jahāñ se bache
koī charāġh agar ab kahīñ jalāyā gayā
kamal dekhiye sab ka yaqin jalaya gaya
main ek charagh hun mujh ko nahin jalaya gaya
ye saneha bhi kisi bughz ki alamat hai
makan chhoD diya aur makin jalaya gaya
KHuda ka is se baDa aur kya karam hoga
jahan bujhaya tha mujh ko wahin jalaya gaya
use batana hawa se nahin jahan se bache
koi charagh agar ab kahin jalaya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.