kamal-e-ishq mein jazb-o-asar ki baat na kar
kamal-e-ishq mein jazb-o-asar ki baat na kar
Haji Shafiullah Shafi Bahraichi
MORE BYHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
kamāl-e-ishq meñ jazb-o-asar kī baat na kar
unhīñ kī raah meñ kho jā ḳhabar kī baat na kar
tirī talāsh meñ manzil kī koī qaid nahīñ
haram kī dair kī dīvār-o-dar kī baat na kar
kalīm dekh chuke husn-e-yār ke jalve
ye un kā baḳht hai zauq-e-nazar kī baat na kar
mahak mahak uThīñ galiyāñ jo khul ga.e gesū
riyāz-e-hazrat-e-ḳhairul-bashar kī baat na kar
shu.ūr usī kā to arsh-e-barīñ kī zīnat hai
faqat rasā.ī-e-pā-e-bashar kī baat na kar
tulūa-e-māh-e-arab se haiñ do-jahāñ raushan
ziyā-furozī-e-shams-o-qamar kī baat na kar
chaman-badosh hai har zarra arz-e-taiba kā
bahār-e-gulshan-e-gulhā-e-tar kī baat na kar
bahār-e-mus.haf-e-nātiq ke dekhne vaale
iram kī dahr kī barg-o-shajar kī baat na kar
hamāre ashk-e-nadāmat kā koī mol kahāñ
ye nazr-e-naqd hai la.al-o-gohar kī baat na kar
jahāñ meñ chaar sū phailā huā hai buġhz-o-inād
añdherī raat meñ nūr-e-sahar kī baat na kar
'shafī.a' ummīd hai baḳhshā.eñge vahī mujh ko
ba-juz atā-e-shah-e-bahr-o-bar kī baat na kar
kamal-e-ishq mein jazb-o-asar ki baat na kar
unhin ki rah mein kho ja KHabar ki baat na kar
teri talash mein manzil ki koi qaid nahin
haram ki dair ki diwar-o-dar ki baat na kar
kalim dekh chuke husn-e-yar ke jalwe
ye un ka baKHt hai zauq-e-nazar ki baat na kar
mahak mahak uThin galiyan jo khul gae gesu
riyaz-e-hazrat-e-KHairul-bashar ki baat na kar
shuur usi ka to arsh-e-barin ki zinat hai
faqat rasai-e-pa-e-bashar ki baat na kar
tulua-e-mah-e-arab se hain do-jahan raushan
ziya-furozi-e-shams-o-qamar ki baat na kar
chaman-badosh hai har zarra arz-e-taiba ka
bahaar-e-gulshan-e-gulha-e-tar ki baat na kar
bahaar-e-mushaf-e-natiq ke dekhne wale
iram ki dahr ki barg-o-shajar ki baat na kar
hamare ashk-e-nadamat ka koi mol kahan
ye nazr-e-naqd hai lal-o-gohar ki baat na kar
jahan mein chaar su phaila hua hai bughz-o-inad
andheri raat mein nur-e-sahar ki baat na kar
'shafia' ummid hai baKHshaenge wahi mujh ko
ba-juz ata-e-shah-e-bahr-o-bar ki baat na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.