kamal-e-jiddat-e-insan dikhai deta hai
kamāl-e-jiddat-e-insāñ dikhā.ī detā hai
jise bhī dekhiye uryāñ dikhā.ī detā hai
ye dekhtā huuñ ki saḌkoñ pe bhiiḌ hai lekin
kabhī kabhī koī insāñ dikhā.ī detā hai
abhī kuchh aur añdherā kuchh aur sannāTā
abhī to ai shab-e-hijrāñ dikhā.ī detā hai
bahisht ko na chalā jaa.e mai-kade le jaao
kuchh aaj shaiḳh pareshāñ dikhā.ī detā hai
mujhe saḌak se uThāo na ai police vaalo
yahāñ se kūcha-e-jānāñ dikhā.ī detā hai
kamal-e-jiddat-e-insan dikhai deta hai
jise bhi dekhiye uryan dikhai deta hai
ye dekhta hun ki saDkon pe bhiD hai lekin
kabhi kabhi koi insan dikhai deta hai
abhi kuchh aur andhera kuchh aur sannaTa
abhi to ai shab-e-hijran dikhai deta hai
bahisht ko na chala jae mai-kade le jao
kuchh aaj shaiKH pareshan dikhai deta hai
mujhe saDak se uThao na ai police walo
yahan se kucha-e-jaanan dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.