kamal fan mein hunar guftugu mein baqi hai
kamāl fan meñ hunar guftugū meñ baaqī hai
suḳhan kā ramz abhī lakhna.ū meñ baaqī hai
abhī na hogā zamāne meñ zulmatoñ kā zuhūr
abhī to raushnī mere lahū meñ baaqī hai
tumhāre jaam haiñ ḳhālī magar sharāb-e-suḳhan
hanūz thoḌī sī mere subū meñ baaqī hai
ik aur zulm ke lashkar ko zer honā hai
ik aur jang kamān-o-gulū meñ baaqī hai
isī liye to ye vīrāniyāñ mahaktī haiñ
koī ġhazāl abhī dasht-e-hū meñ baaqī hai
thamā nahīñ hai mire zaḳhm kā lahū ab tak
abhī to kaam bahut sā rafū meñ baaqī hai
na tere haath meñ dūñgā maiñ apnā haath kabhī
ki ab bhī kaj-kulahī merī ḳhū meñ baaqī hai
kamal fan mein hunar guftugu mein baqi hai
suKHan ka ramz abhi lakhnau mein baqi hai
abhi na hoga zamane mein zulmaton ka zuhur
abhi to raushni mere lahu mein baqi hai
tumhaare jam hain KHali magar sharab-e-suKHan
hanuz thoDi si mere subu mein baqi hai
ek aur zulm ke lashkar ko zer hona hai
ek aur jang kaman-o-gulu mein baqi hai
isi liye to ye viraniyan mahakti hain
koi ghazal abhi dasht-e-hu mein baqi hai
thama nahin hai mere zaKHm ka lahu ab tak
abhi to kaam bahut sa rafu mein baqi hai
na tere hath mein dunga main apna hath kabhi
ki ab bhi kaj-kulahi meri KHu mein baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.