kamal ye hai ki jo bhi hua kamal hua
kamāl ye hai ki jo bhī huā kamāl huā
sulūk aap kā har ik se hasb-e-hāl huā
na shab ko chain na din ko qarār miltā hai
ye zindagī na huī ḳhvāhishoñ kā jaal huā
kuchh aise log bhī tārīḳh kā havāla haiñ
uruuj un ke liye bā.is-e-zavāl huā
batā.ūñ kyā ki chaman se vo jab huā ruḳhsat
phir us ke baa'd ḳhizāoñ kā jo dhamāl huā
bichhaḌne vaale agar ho sake to lauT aao
use kaheñge agar rābta bahāl huā
misāl aur nahīñ hai ba-juz nabī-akram
hai ik vahī jo zamāne meñ be-misāl huā
ḳhushī ḳhushī se jiyā 'nāz' terī duniyā meñ
vagarna sab ko pata hai jo us kā haal huā
kamal ye hai ki jo bhi hua kamal hua
suluk aap ka har ek se hasb-e-haal hua
na shab ko chain na din ko qarar milta hai
ye zindagi na hui KHwahishon ka jal hua
kuchh aise log bhi tariKH ka hawala hain
uruj un ke liye bais-e-zawal hua
bataun kya ki chaman se wo jab hua ruKHsat
phir us ke ba'd KHizaon ka jo dhamal hua
bichhaDne wale agar ho sake to lauT aao
use kahenge agar rabta bahaal hua
misal aur nahin hai ba-juz nabi-akram
hai ek wahi jo zamane mein be-misal hua
KHushi KHushi se jiya 'naz' teri duniya mein
wagarna sab ko pata hai jo us ka haal hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.