Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaman mein khinch hai pahle si aur na tir mein rang

Jawed Adil Sohavi

kaman mein khinch hai pahle si aur na tir mein rang

Jawed Adil Sohavi

MORE BYJawed Adil Sohavi

    kamāñ meñ khīñch hai pahle aur na tiir meñ rañg

    lahū bahegā to aa.egā jū-e-shīr meñ rañg

    junūn-e-husn-parastī bhī de diyā yārab

    ki pahle kam to nahīñ the mire ḳhamīr meñ rañg

    ye kis ke dar se milī hai sikandarī mujh ko

    ye kaun Daal gayā kāsa-e-faqīr meñ rañg

    mahal banā.ūñgā qaus-e-quzah tere liye

    Thahar ga.e jo kabhī haath lakīr meñ rañg

    ḳhaak hone se pahle ye ehtimām to kar

    amal bichhā deñ rah-e-munkar-o-nakīr meñ rañg

    judā.iyoñ ke parinde unheñ uḌā leñge

    hinā se bāñdh to luuñ haath lakīr meñ rañg

    tumhāre husn-e-ta.alluq meñ rañg bhartā huuñ

    bhare haiñ sher se vāris ne jaise hiir meñ rañg

    kaman mein khinch hai pahle si aur na tir mein rang

    lahu bahega to aaega ju-e-shir mein rang

    junun-e-husn-parasti bhi de diya yarab

    ki pahle kam to nahin the mere KHamir mein rang

    ye kis ke dar se mili hai sikandari mujh ko

    ye kaun Dal gaya kasa-e-faqir mein rang

    mahal banaunga qaus-e-quzah ka tere liye

    Thahar gae jo kabhi hath ki lakir mein rang

    tu KHak hone se pahle ye ehtimam to kar

    amal bichha den rah-e-munkar-o-nakir mein rang

    judaiyon ke parinde unhen uDa lenge

    hina se bandh to lun hath ki lakir mein rang

    tumhaare husn-e-talluq mein rang bharta hun

    bhare hain sher se waris ne jaise hir mein rang

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now