kaman shikasta hai tarkash mein bhi Thikana nahin
kamāñ shikasta hai tarkash meñ bhī Thikāna nahīñ
vo tiir kyā chale jis kā koī nishāna nahīñ
to phir ye 'ishq bhalā kaise surḳh-rū hogā
hameñ chhupānā nahīñ aur unheñ dikhānā nahīñ
ye ashk hī nahīñ jazbāt ke farishte haiñ
jo ho sake to palak se inheñ girānā nahīñ
tum apne zulf kī ḳhushbū sañbhāl kar rakhnā
ki āj-kal kī havāoñ kā kuchh Thikāna nahīñ
diyā hai har na.e mausam ne ek dard nayā
purānā zaḳhm hamāre liye purānā nahīñ
hamārā haq hai ki ham kuchh kaheñ kaheñ na kaheñ
ġhazal hamārī kisī mulk kā tarāna nahīñ
kaman shikasta hai tarkash mein bhi Thikana nahin
wo tir kya chale jis ka koi nishana nahin
to phir ye 'ishq bhala kaise surKH-ru hoga
hamein chhupana nahin aur unhen dikhana nahin
ye ashk hi nahin jazbaat ke farishte hain
jo ho sake to palak se inhen girana nahin
tum apne zulf ki KHushbu sanbhaal kar rakhna
ki aaj-kal ki hawaon ka kuchh Thikana nahin
diya hai har nae mausam ne ek dard naya
purana zaKHm hamare liye purana nahin
hamara haq hai ki hum kuchh kahen kahen na kahen
ghazal hamari kisi mulk ka tarana nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.