kamar kaso to masafat ki aabru rakhna
kamar kaso to masāfat kī aabrū rakhnā
jo chal paḌo to na manzil kī aarzū rakhnā
bikhar rahā hai sabhī kuchh agarche duniyā meñ
hayāt-e-nau kī magar phir bhī justujū rakhnā
jahāñ meñ log faqat zindagī nibhāte haiñ
baḌā kamāl hai jiine ko ḳhūb-rū rakhnā
agar nigāh-o-nazar meñ ho rahmat-e-mutlaq
jhukā.e sar mire maulā ke rū-ba-rū rakhnā
vazāhatoñ ke liye baar baar jaanā ho
isī ḳhayāl se mub.ham sī guftugū rakhnā
ḳhizāñ ke baad chaman meñ bahār aane par
ravish-ravish vahī afsāna-e-numū rakhnā
savāl ziist kā dushvār hai bahut 'ādil'
ki aarzū nahīñ rakhnā yā aarzū rakhnā
kamar kaso to masafat ki aabru rakhna
jo chal paDo to na manzil ki aarzu rakhna
bikhar raha hai sabhi kuchh agarche duniya mein
hayat-e-nau ki magar phir bhi justuju rakhna
jahan mein log faqat zindagi nibhate hain
baDa kamal hai jine ko KHub-ru rakhna
agar nigah-o-nazar mein ho rahmat-e-mutlaq
jhukae sar mere maula ke ru-ba-ru rakhna
wazahaton ke liye bar bar jaana ho
isi KHayal se mubham si guftugu rakhna
KHizan ke baad chaman mein bahaar aane par
rawish-rawish wahi afsana-e-numu rakhna
sawal zist ka dushwar hai bahut 'adil'
ki aarzu nahin rakhna ya aarzu rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.