kamar uski nahin aati nazar tak
kamar us kī nahīñ aatī nazar tak
nazar apnī nahīñ jaatī kamar tak
kamān abrū kī ḳham hone na paa.ī
ki pahuñchā tiir mizhgāñ kā jigar tak
rahā karte ho ġhairoñ ke makāñ meñ
kabhī aate to is bande ke ghar tak
kidhar jā.ūñ tirī mahfil se bāhar
ba-rang-e-sham.a go kaT jaa.e sar tak
koī hamdam na thā furqat kī shab meñ
faqat ik sham' royā kī sahar tak
kisī kī ḳhair-o-shar se kyā hameñ kaam
nahīñ rakhte ham apnī hī ḳhabar tak
kuchh aisī hai tire 'āshiq kī hālat
ki hosh aatā nahīñ do-do pahar tak
kiyā sayyād-e-zālim ne giraftār
nahīñ nikle the 'bāqī' bāl-o-par tak
kamar us ki nahin aati nazar tak
nazar apni nahin jati kamar tak
kaman abru ki KHam hone na pai
ki pahuncha tir mizhgan ka jigar tak
raha karte ho ghairon ke makan mein
kabhi aate to is bande ke ghar tak
kidhar jaun teri mahfil se bahar
ba-rang-e-shama go kaT jae sar tak
koi hamdam na tha furqat ki shab mein
faqat ek sham' roya ki sahar tak
kisi ki KHair-o-shar se kya hamein kaam
nahin rakhte hum apni hi KHabar tak
kuchh aisi hai tere 'ashiq ki haalat
ki hosh aata nahin do-do pahar tak
kiya sayyaad-e-zalim ne giraftar
nahin nikle the 'baqi' baal-o-par tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.