kami aane na pae ai falak kuchh jaur-e-paiham mein
kami aane na pae ai falak kuchh jaur-e-paiham mein
Pandit Vidya Rattan Asi
MORE BYPandit Vidya Rattan Asi
kamī aane na paa.e ai falak kuchh jaur-e-paiham meñ
bahut hai tāqat-e-bardāsht-e-ġham aaj bhī ham meñ
kamī aa.ī hai jab se tere mere rabt-e-bāham meñ
bhaTak kar rah ga.ī hai zindagī tārīkī-e-ġham meñ
huī haiñ anjuman meñ jab bhī us kāfir se chaar āñkheñ
kahī hai dāstān-e-ġham zabān-e-chashm-e-pur-nam meñ
uThā hī chāhtā hai ab janāza ārzūoñ kā
bujhā hī chāhtī hai shām-e-hastī ab koī dam meñ
yahī le de ke ab to rah gayā hai apnā sarmāya
jo aañsū dekhte haiñ aap merī chashm-e-pur-nam meñ
na vo mere na dil merā na adnā sī ḳhushī merī
ye merā hausla hai jī rahā huuñ aise aalam meñ
agar ai āsmāñ āh-o-fuġhāñ pe ham utar aa.eñ
badal jā.egī terī saarī duniyā bazm-e-mātam meñ
kahīñ nām-o-nishāñ tak mil na pā.egā masarrat kā
kahāñ tak saath mere de sakeñge jāda-e-ġham meñ
hayāt-e-muḳhtasar kī kyā kaheñ rūdād ham tujh se
ḳhulāsa ye ki guzrī hai pareshānī ke aalam meñ
kami aane na pae ai falak kuchh jaur-e-paiham mein
bahut hai taqat-e-bardasht-e-gham aaj bhi hum mein
kami aai hai jab se tere mere rabt-e-baham mein
bhaTak kar rah gai hai zindagi tariki-e-gham mein
hui hain anjuman mein jab bhi us kafir se chaar aankhen
kahi hai dastan-e-gham zaban-e-chashm-e-pur-nam mein
uTha hi chahta hai ab janaza aarzuon ka
bujha hi chahti hai sham-e-hasti ab koi dam mein
yahi le de ke ab to rah gaya hai apna sarmaya
jo aansu dekhte hain aap meri chashm-e-pur-nam mein
na wo mere na dil mera na adna si KHushi meri
ye mera hausla hai ji raha hun aise aalam mein
agar ai aasman aah-o-fughan pe hum utar aaen
badal jaegi teri sari duniya bazm-e-matam mein
kahin nam-o-nishan tak mil na paega masarrat ka
kahan tak sath mere de sakenge jada-e-gham mein
hayat-e-muKHtasar ki kya kahen rudad hum tujh se
KHulasa ye ki guzri hai pareshani ke aalam mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.