kami hai jis ki mujhe ab kami hi rahne do
kamī hai jis kī mujhe ab kamī hī rahne do
na zikr-e-ḳhair karo bebasī hī rahne do
qarīb itnā na aao ki pyaar ho jaa.e
hamāre biich faqat dostī hī rahne do
farishta banñe kī koshish mujhe nahīñ karnī
maiñ aadmī huuñ mujhe aadmī hī rahne do
mire nasīb meñ likkhī ga.ī aziyyat hai
mire nasīb meñ tum tīrgī hī rahne do
vo chāhtā hai javānī guzār leñ saada
chalo ye Thiik hai phir sādgī hī rahne do
sahīfa is ko samajhnā na tum kabhī 'afnān'
jo shā'irī hai ise shā'irī hī rahne do
kami hai jis ki mujhe ab kami hi rahne do
na zikr-e-KHair karo bebasi hi rahne do
qarib itna na aao ki pyar ho jae
hamare bich faqat dosti hi rahne do
farishta banne ki koshish mujhe nahin karni
main aadmi hun mujhe aadmi hi rahne do
mere nasib mein likkhi gai aziyyat hai
mere nasib mein tum tirgi hi rahne do
wo chahta hai jawani guzar len sada
chalo ye Thik hai phir sadgi hi rahne do
sahifa is ko samajhna na tum kabhi 'afnan'
jo sha'iri hai ise sha'iri hi rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.