kami kya rah gai thi qurbaton mein
kamī kyā rah ga.ī thī qurbatoñ meñ
samajh aane lagegā fāsloñ meñ
mire baare meñ jab bhī baat hogī
tumhārā zikr hogā hādsoñ meñ
hameñ sūraj kā kuchh karnā paḌegā
ye charchā chal rahī hai jugnuoñ meñ
mujhe kuchh din se aisā lag rahā hai
koī dushman hai mere dostoñ meñ
kisī pichhle janam kā punny hai ye
ki ham baiThe hue haiñ shā'iroñ meñ
vo hai gumnām baazī jiit kar bhī
hamārī haar bhī hai surḳhiyoñ meñ
mohabbat raas aatī hai unhīñ ko
maza aatā hai jin ko mushkiloñ meñ
kami kya rah gai thi qurbaton mein
samajh aane lagega faslon mein
mere bare mein jab bhi baat hogi
tumhaara zikr hoga hadson mein
hamein suraj ka kuchh karna paDega
ye charcha chal rahi hai jugnuon mein
mujhe kuchh din se aisa lag raha hai
koi dushman hai mere doston mein
kisi pichhle janam ka punny hai ye
ki hum baiThe hue hain sha'iron mein
wo hai gumnam bazi jit kar bhi
hamari haar bhi hai surKHiyon mein
mohabbat ras aati hai unhin ko
maza aata hai jin ko mushkilon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.