kamre ke andheron mein ziya kaun rakhega
kamre ke añdheroñ meñ ziyā kaun rakhegā
hai mehr-e-vafā lab pe navā kaun rakhegā
chaukhaT pe mirī lā ke diyā kaun rakhegā
ab mere liye lab pe duā kaun rakhegā
hañste hue chehroñ ko rulā detī haiñ āñkheñ
shādābī-e-mausam kī fazā kaun rakhegā
dahshat-zada māhaul khaḌā pūchh rahā hai
sannāToñ meñ paa.el kī sadā kaun rakhegā
bārūd kī bū chāroñ taraf phail rahī hai
aise meñ darīchoñ ko khulā kaun rakhegā
har gaam añdheroñ kā safar saath hai mere
ab jism se saa.e ko judā kaun rakhegā
dhartī pe mahakte hue mausam kī ridā ko
barsāt na hogī to harā kaun rakhegā
be-mehr zamāne kī rivāyāt meñ 'ḳhālid'
hoñToñ pe mohabbat kī sadā kaun rakhegā
kamre ke andheron mein ziya kaun rakhega
hai mehr-e-wafa lab pe nawa kaun rakhega
chaukhaT pe meri la ke diya kaun rakhega
ab mere liye lab pe dua kaun rakhega
hanste hue chehron ko rula deti hain aankhen
shadabi-e-mausam ki faza kaun rakhega
dahshat-zada mahaul khaDa puchh raha hai
sannaTon mein pael ki sada kaun rakhega
barud ki bu chaaron taraf phail rahi hai
aise mein darichon ko khula kaun rakhega
har gam andheron ka safar sath hai mere
ab jism se sae ko juda kaun rakhega
dharti pe mahakte hue mausam ki rida ko
barsat na hogi to hara kaun rakhega
be-mehr zamane ki riwayat mein 'KHalid'
honTon pe mohabbat ki sada kaun rakhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.