kamre ki jab se tirgi baDhti chali gai
kamre kī jab se tīrgī baḌhtī chalī ga.ī
zaḳhmoñ se apnī dostī baḌhtī chalī ga.ī
chāroñ taraf se ḳhud meñ lagā.ī ga.ī thī aag
chāroñ taraf hī raushnī baḌhtī chalī ga.ī
maiñ jitnā tere jism ko paḌhtā chalā gayā
ḳhud se phir utnī āgahī baḌhtī chalī ga.ī
'sājid' hamāre gaañv meñ dariyā ke bāvajūd
kyā raaz hai jo tishnagī baḌhtī chalī ga.ī
kamre ki jab se tirgi baDhti chali gai
zaKHmon se apni dosti baDhti chali gai
chaaron taraf se KHud mein lagai gai thi aag
chaaron taraf hi raushni baDhti chali gai
main jitna tere jism ko paDhta chala gaya
KHud se phir utni aagahi baDhti chali gai
'sajid' hamare ganw mein dariya ke bawajud
kya raaz hai jo tishnagi baDhti chali gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.