kan-ankhiyon par soch parinda baiTha tha
kan-añkhiyoñ par soch parinda baiThā thā
maiñ ne chehra ā.īne meñ dekhā thā
lafz na jumle aur na hī koī mafhūm
us ne ḳhat likkhā lekin kyā likkhā thā
merī rām-kahānī sab ne pūchhī thī
mere dil kā dard na koī jaanā thā
kyā tajdīd-e-marāsim kā imkān nahīñ
maiñ ma.asūm thā maiñ ne us se pūchhā thā
qaus-e-quzah kī chhūT bhī phīkī paḌtī thī
us par ishq kā rang hī gahrā chaḌhtā thā
jismoñ meñ haa.il thī kapḌoñ kī dīvār
un ke diloñ meñ fāsla lambā chauḌā thā
sab tehvār hī ham ne saath manā.e the
fasl-e-rasā.ī meñ vo ham se bichhḌā thā
tum ne hamāre zaḳhmoñ par marham rakkhā
jab ki vajūd-e-jān hamārā ristā thā
suud uThā ke Daalā apne khāte meñ
'īraj' tere naam ziyāñ kā saudā thā
kan-ankhiyon par soch parinda baiTha tha
main ne chehra aaine mein dekha tha
lafz na jumle aur na hi koi mafhum
us ne KHat likkha lekin kya likkha tha
meri ram-kahani sab ne puchhi thi
mere dil ka dard na koi jaana tha
kya tajdid-e-marasim ka imkan nahin
main masum tha main ne us se puchha tha
qaus-e-quzah ki chhuT bhi phiki paDti thi
us par ishq ka rang hi gahra chaDhta tha
jismon mein hail thi kapDon ki diwar
un ke dilon mein fasla lamba chauDa tha
sab tehwar hi hum ne sath manae the
fasl-e-rasai mein wo hum se bichhDa tha
tum ne hamare zaKHmon par marham rakkha
jab ki wajud-e-jaan hamara rista tha
sud uTha ke Dala apne khate mein
'iraj' tere nam ziyan ka sauda tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.