kanar-e-ab hai abr-e-bahaar hai saqi
kanār-e-āb hai abr-e-bahār hai saaqī
sharāb lā ki fazā be-qarār hai saaqī
havā.eñ mai-kada-bar-dosh phuul jām-ba-kaf
bahār aaj mukammal bahār hai saaqī
pilā de aaj hī kal ke liye jo rakh dī hai
ki zindagī kā kise e.atibār hai saaqī
fazā bhī mast hai gulshan bhī mast hai lekin
niyāz-mand abhī hoshiyār hai saaqī
rahūñ maiñ hosh meñ jab tak pilā.e jā mujh ko
phir is ke baad tujhe iḳhtiyār hai saaqī
nisār lāla-o-gul kī javāniyāñ tujh par
tire 'sahar' ko tirā intizār hai saaqī
kanar-e-ab hai abr-e-bahaar hai saqi
sharab la ki faza be-qarar hai saqi
hawaen mai-kada-bar-dosh phul jam-ba-kaf
bahaar aaj mukammal bahaar hai saqi
pila de aaj hi kal ke liye jo rakh di hai
ki zindagi ka kise eatibar hai saqi
faza bhi mast hai gulshan bhi mast hai lekin
niyaz-mand abhi hoshiyar hai saqi
rahun main hosh mein jab tak pilae ja mujh ko
phir is ke baad tujhe iKHtiyar hai saqi
nisar lala-o-gul ki jawaniyan tujh par
tere 'sahar' ko tera intizar hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.