kanar-e-barg-e-tabassum larazta qatra hai
kanār-e-barg-e-tabassum laraztā qatra hai
zamīñ kī kokh meñ laavā pighaltā rahtā hai
sulag rahī haiñ dil-o-jāñ kī kā.enāteñ aur
laboñ kī oT meñ sho.ala chhupā.e rakkhā hai
habāb sī kisī saa.at meñ tujh se milne ko
ka.ī yugoñ kā mujhe intizār karnā hai
tire firāq meñ badle haiñ aise kaun-o-makāñ
udaas raat meñ ik dopahar bhī zinda hai
zabāñ pe shorish-e-harf-e-shikāyat-e-jānāñ
ināyatoñ kā tah-e-dil meñ shor barpā hai
ufuq ke baam bhī haiñ dam-ba-ḳhud tirī ḳhātir
tirī talāsh meñ bikhrā huā ye sahrā hai
ulajh rahī hai abas mauj-e-ḳhūn sāhil se
har ek harf-e-tamannā sadā-ba-sahrā hai
Dubo ke aa gayā maiñ apnī har sadā lekin
mire vajūd meñ ye kis kī chīḳh zinda hai
kanar-e-barg-e-tabassum larazta qatra hai
zamin ki kokh mein lawa pighalta rahta hai
sulag rahi hain dil-o-jaan ki kaenaten aur
labon ki oT mein shoala chhupae rakkha hai
habab si kisi saat mein tujh se milne ko
kai yugon ka mujhe intizar karna hai
tere firaq mein badle hain aise kaun-o-makan
udas raat mein ek dopahar bhi zinda hai
zaban pe shorish-e-harf-e-shikayat-e-jaanan
inayaton ka tah-e-dil mein shor barpa hai
ufuq ke baam bhi hain dam-ba-KHud teri KHatir
teri talash mein bikhra hua ye sahra hai
ulajh rahi hai abas mauj-e-KHun sahil se
har ek harf-e-tamanna sada-ba-sahra hai
Dubo ke aa gaya main apni har sada lekin
mere wajud mein ye kis ki chiKH zinda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.