kapDe apne ghar ke hain
kapḌe apne ghar ke haiñ
dhabbe duniyā-bhar ke haiñ
bāhar koī chiiz nahīñ
saare Dar andar ke haiñ
kaise kaise dukh dekhe
kyā kyā aib hunar ke haiñ
masjid to banvā lī thī
patthar sab mandar ke haiñ
dekheñ kaisā din nikle
bādal to kuchh sarke haiñ
manzil pā lene ke ba.ad
jhagḌe rāh-guzar ke haiñ
shahroñ meñ ab log kahāñ
sab baabū daftar ke haiñ
kapDe apne ghar ke hain
dhabbe duniya-bhar ke hain
bahar koi chiz nahin
sare Dar andar ke hain
kaise kaise dukh dekhe
kya kya aib hunar ke hain
masjid to banwa li thi
patthar sab mandar ke hain
dekhen kaisa din nikle
baadal to kuchh sarke hain
manzil pa lene ke baad
jhagDe rah-guzar ke hain
shahron mein ab log kahan
sab babu daftar ke hain
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 93)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.