kapDon mein makanon mein niwalon mein paDe hain
kapḌoñ meñ makānoñ meñ nivāloñ meñ paḌe haiñ
sab log inhīñ tiin ḳhayāloñ meñ paḌe haiñ
ham ahl-e-nazar band haiñ tārīk gharoñ meñ
andhe haiñ ki din-rāt ujāloñ meñ paḌe haiñ
rone se lakīreñ mire chehre pe banī haiñ
hañsne se gaḌhe aap ke gāloñ meñ paḌe haiñ
tum saath na the jab to faqat ashk dhare the
ab ḳhvāb bhī āñkhoñ ke piyāloñ meñ paḌe haiñ
is qaum pe zillat kī jamī gard to kyā hai
pākīza sahīfe bhī to jāloñ meñ paḌe haiñ
chāñdī ke hasīñ jaam meñ Duube the jo kal shab
sunte haiñ 'nabīl' aaj vo nāloñ meñ paḌe haiñ
kapDon mein makanon mein niwalon mein paDe hain
sab log inhin tin KHayalon mein paDe hain
hum ahl-e-nazar band hain tarik gharon mein
andhe hain ki din-raat ujalon mein paDe hain
rone se lakiren mere chehre pe bani hain
hansne se gaDhe aap ke galon mein paDe hain
tum sath na the jab to faqat ashk dhare the
ab KHwab bhi aankhon ke piyalon mein paDe hain
is qaum pe zillat ki jami gard to kya hai
pakiza sahife bhi to jalon mein paDe hain
chandi ke hasin jam mein Dube the jo kal shab
sunte hain 'nabil' aaj wo nalon mein paDe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.