kar bhi len wada magar wada nibha sakte nahin
kar bhī leñ va.ada magar va.ada nibhā sakte nahīñ
saath achchhā hai tumhārā saath aa sakte nahīñ
us ko lagtā hai ki ham us se bichhaḌ kar haiñ udaas
ab agar chāhe bhī dil to muskurā sakte nahīñ
dil to kahtā hai zarūrat hai kisī hamdard kī
par zarūrat ke liye to dil lagā sakte nahīñ
har koī chehre pe paḌhnā chāhtā hai dukh vahī
aur ham us dukh ko afsāna banā sakte nahīñ
tum jo chup ho to yahāñ har ek shai ḳhāmosh hai
maan bhī jaao ki ham sab ko manā sakte nahīñ
is qadar vīrān merā dil tumhāre baad hai
lauT bhī aao to is meñ ghar banā sakte nahīñ
kar bhi len wada magar wada nibha sakte nahin
sath achchha hai tumhaara sath aa sakte nahin
us ko lagta hai ki hum us se bichhaD kar hain udas
ab agar chahe bhi dil to muskura sakte nahin
dil to kahta hai zarurat hai kisi hamdard ki
par zarurat ke liye to dil laga sakte nahin
har koi chehre pe paDhna chahta hai dukh wahi
aur hum us dukh ko afsana bana sakte nahin
tum jo chup ho to yahan har ek shai KHamosh hai
man bhi jao ki hum sab ko mana sakte nahin
is qadar viran mera dil tumhaare baad hai
lauT bhi aao to is mein ghar bana sakte nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.