kar chuka phul main jab sare jahan ke patthar
kar chukā phuul maiñ jab saare jahāñ ke patthar
aa paḌe sar pe mire jaane kahāñ ke patthar
zarf-e-dil meñ namī-e-ashk-e-haqīqat na rahī
itne baḳhshe hameñ logoñ ne gumāñ ke patthar
pa-e-haq dar-pa.e-paikār koī miltā nahīñ
bañdh ga.e paañv se kyā vahshat-e-jāñ ke patthar
ḳhaak meñ mil ga.e sab phuul se logoñ ke vajūd
lag ga.e qabr pe bas nām-o-nishāñ ke patthar
kū-ba-kū ho ga.iiñ ta.amīr ibādat-gāheñ
jam.a karte hī rahe ham to makāñ ke patthar
zindagī ke liye gauhar vahī Thahre 'ābid'
log kahte haiñ jinheñ fikr-e-javāñ ke patthar
kar chuka phul main jab sare jahan ke patthar
aa paDe sar pe mere jaane kahan ke patthar
zarf-e-dil mein nami-e-ashk-e-haqiqat na rahi
itne baKHshe hamein logon ne guman ke patthar
pa-e-haq dar-pae-paikar koi milta nahin
bandh gae panw se kya wahshat-e-jaan ke patthar
KHak mein mil gae sab phul se logon ke wajud
lag gae qabr pe bas nam-o-nishan ke patthar
ku-ba-ku ho gain tamir ibaadat-gahen
jama karte hi rahe hum to makan ke patthar
zindagi ke liye gauhar wahi Thahre 'abid'
log kahte hain jinhen fikr-e-jawan ke patthar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.