kar de mujhko mere kaamon mein KHudaya kaamyab
kar de mujhko mere kaamon mein KHudaya kaamyab
Sughra Humaun Mirza
MORE BYSughra Humaun Mirza
kar de mujh ko mere kāmoñ meñ ḳhudāyā kāmyāb
maiñ qadam jis meñ rakhūñ ho azm merā kāmyāb
dekh kar dushman mire hairān haiñ har kaam ko
rashk un kā baḌh gayā mujh ko jo dekhā kāmyāb
dekh kar iqbāl merā hans ke kahte haiñ ye dost
dil hamārā kyoñ na ḳhush ho jab ho 'suġhrā' kāmyāb
dekh kar duniyā kī hālat dil ye kahtā hai merā
haiñ ye sab nākām ham haiñ ek tanhā kāmyāb
ā.eñge shāh-e-dakan ke jab mire ghar meñ qadam
maiñ samajh lūñgī huā qismat kā likkhā kāmyāb
dekh kar maiñ shaah ko kyā nazr duuñ hairān huuñ
ik qalam hai haath meñ jis ne banāyā kāmyāb
maiñ ne rakkhā hai bharosa ik ḳhudā kī zaat par
us ne apne fazl se mujh ko banāyā kāmyāb
hai ye merī aarzū jā.ūñ madīne ko kabhī
hai yaqīñ mujh ko kareñge mere maulā kāmyāb
mere aaqā mere haadī mere rahbar haiñ alī
mushkileñ āsān kar diiñ aur banāyā kāmyāb
kar de mujh ko mere kaamon mein KHudaya kaamyab
main qadam jis mein rakhun ho azm mera kaamyab
dekh kar dushman mere hairan hain har kaam ko
rashk un ka baDh gaya mujh ko jo dekha kaamyab
dekh kar iqbaal mera hans ke kahte hain ye dost
dil hamara kyon na KHush ho jab ho 'sughra' kaamyab
dekh kar duniya ki haalat dil ye kahta hai mera
hain ye sab nakaam hum hain ek tanha kaamyab
aaenge shah-e-dakan ke jab mere ghar mein qadam
main samajh lungi hua qismat ka likkha kaamyab
dekh kar main shah ko kya nazr dun hairan hun
ek qalam hai hath mein jis ne banaya kaamyab
main ne rakkha hai bharosa ek KHuda ki zat par
us ne apne fazl se mujh ko banaya kaamyab
hai ye meri aarzu jaun madine ko kabhi
hai yaqin mujh ko karenge mere maula kaamyab
mere aaqa mere hadi mere rahbar hain ali
mushkilen aasan kar din aur banaya kaamyab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.