kar diya KHud ko samundar ke hawale humne
kar diyā ḳhud ko samundar ke havāle ham ne
tab kahīñ gauhar-e-nāyāb nikāle ham ne
zindagī naam hai chalne kā to chalte hī rahe
ruk ke dekhe na kabhī paañv ke chhāle ham ne
jab se ham ho ga.e darvesh tire kūche ke
tab se toḌe nahīñ sone ke nivāle ham ne
terī chāhat sī nahīñ dekhī kisī kī chāhat
vaise dekhe haiñ bahut chāhne vaale ham ne
ham-safar tū jo rahā ham bhī ujāle meñ rahe
phir tire ba.ad kahāñ dekhe ujāle ham ne
ek bhī sher guhar ban ke na chamkā 'afzal'
kitne dariyā-e-ḳhayālāt khañgāle ham ne
kar diya KHud ko samundar ke hawale hum ne
tab kahin gauhar-e-nayab nikale hum ne
zindagi nam hai chalne ka to chalte hi rahe
ruk ke dekhe na kabhi panw ke chhaale hum ne
jab se hum ho gae darwesh tere kuche ke
tab se toDe nahin sone ke niwale hum ne
teri chahat si nahin dekhi kisi ki chahat
waise dekhe hain bahut chahne wale hum ne
ham-safar tu jo raha hum bhi ujale mein rahe
phir tere baad kahan dekhe ujale hum ne
ek bhi sher guhar ban ke na chamka 'afzal'
kitne dariya-e-KHayalat khangale hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.