kar diya pani jigar aur dil ko dariya kar diya
kar diya pani jigar aur dil ko dariya kar diya
Rajendr Bahadur Mauj
MORE BYRajendr Bahadur Mauj
kar diyā paanī jigar aur dil ko dariyā kar diyā
ye mazāq-e-ġham ne kyā tūfān barpā kar diyā
ye tirī ummīd ne kyā haal merā kar diyā
zindagī to zindagī dushvār marnā kar diyā
ho na ho kuchh baat to hai niyyat-e-va.ada ba-ḳhair
chāñdnī ne kyoñ mire ghar meñ añdherā kar diyā
ek sho.ala hī sahī ulfat magar ehsāñ ye hai
jāda-e-tārīk-e-hastī meñ ujālā kar diyā
yaas kī paiham karishma-sāziyoñ kā shukriya
nāgavārā ranj-e-furqat ko gavārā kar diyā
rafta rafta khiñch ke ik nuqte meñ duniyā aa ga.ī
jab quyūd-e-dahr se dil ko mubarrā kar diyā
na.ara-e-al-ishq-e-rabbī lab pe har zarre ke hai
tūr-e-dil kī vādiyoñ meñ kis ne jalvā kar diyā
iltifāt-e-husn-o-kaif-e-ishq-o-aish-e-vasl-e-dost
gardish-e-ayyām ne in sab ko sapnā kar diyā
paar ḳhud hī kar diyā amvāj-e-tūfāñ ne mujhe
'mauj' maiñ ne ḳhud ko jab be-dast-o-be-pā kar diyā
kar diya pani jigar aur dil ko dariya kar diya
ye mazaq-e-gham ne kya tufan barpa kar diya
ye teri ummid ne kya haal mera kar diya
zindagi to zindagi dushwar marna kar diya
ho na ho kuchh baat to hai niyyat-e-wada ba-KHair
chandni ne kyon mere ghar mein andhera kar diya
ek shoala hi sahi ulfat magar ehsan ye hai
jada-e-tarik-e-hasti mein ujala kar diya
yas ki paiham karishma-saziyon ka shukriya
nagawara ranj-e-furqat ko gawara kar diya
rafta rafta khinch ke ek nuqte mein duniya aa gai
jab quyud-e-dahr se dil ko mubarra kar diya
nara-e-al-ishq-e-rabbi lab pe har zarre ke hai
tur-e-dil ki wadiyon mein kis ne jalwa kar diya
iltifat-e-husn-o-kaif-e-ishq-o-aish-e-wasl-e-dost
gardish-e-ayyam ne in sab ko sapna kar diya
par KHud hi kar diya amwaj-e-tufan ne mujhe
'mauj' main ne KHud ko jab be-dast-o-be-pa kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.