kar diya usne mujhe ruswa bahut
kar diyā us ne mujhe rusvā bahut
aur phir kuchh soch kar royā bahut
shahr meñ aa kar vo baunā ho gayā
gaañv meñ apne jo thā ūñchā bahut
us meñ sohbat kā asar aayā nahīñ
saañp sandal se magar lipTā bahut
ḳhuun meñ tar hai magar gumbad pe hai
go kabūtar par huā hamla bahut
aaj phir hai chaak par kachchā ghaḌā
aaj phir muñh-zor hai dariyā bahut
mulk meñ adl-e-jahāñgīrī nahīñ
munsifoñ meñ hai yahī charchā bahut
zarf meyārī hai gar 'shākir' tirā
maat dene ko yahī mohara bahut
kar diya us ne mujhe ruswa bahut
aur phir kuchh soch kar roya bahut
shahr mein aa kar wo bauna ho gaya
ganw mein apne jo tha uncha bahut
us mein sohbat ka asar aaya nahin
sanp sandal se magar lipTa bahut
KHun mein tar hai magar gumbad pe hai
go kabutar par hua hamla bahut
aaj phir hai chaak par kachcha ghaDa
aaj phir munh-zor hai dariya bahut
mulk mein adl-e-jahangiri nahin
munsifon mein hai yahi charcha bahut
zarf meyari hai gar 'shakir' tera
mat dene ko yahi mohara bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.