kar guzar jaenge pahle se ziyaada ab ke
kar guzar jā.eñge pahle se ziyāda ab ke
multavī kar diyā jiine kā irāda ab ke
phir tasavvur meñ vahī shakl abhī ubhrī thī
canvas aañkh kā phir rah gayā saada ab ke
phir vahī gandumī āvāz sunā.ī dī hai
phir se ābād hai sannāToñ kā jaada ab ke
us ke uḌte hue rangoñ kā ta'āqub yaaro
sochte haiñ ki kiyā jaa.e piyāda ab ke
ḳhud ko taqsīm to karnā hai usī par phir kyā
aadhā kar deñge zarā baa'd meñ aadhā ab ke
kar guzar jaenge pahle se ziyaada ab ke
multawi kar diya jine ka irada ab ke
phir tasawwur mein wahi shakl abhi ubhri thi
canwas aankh ka phir rah gaya sada ab ke
phir wahi gandumi aawaz sunai di hai
phir se aabaad hai sannaTon ka jada ab ke
us ke uDte hue rangon ka ta'aqub yaro
sochte hain ki kiya jae piyaada ab ke
KHud ko taqsim to karna hai usi par phir kya
aadha kar denge zara ba'd mein aadha ab ke
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 37)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.