kar ke dushwar yun har ek qadam kahe ko
kar ke dushvār yuuñ har ek qadam kaahe ko
ham liye phirte rahe bār-e-hasham kaahe ko
ashk sab apnī ravānī meñ bahā le jaate
ḳhvāb ham dekhte bā-dīda-e-nam kaahe ko
ġham kī tāsīr meñ taḳhfīf kiyā karte haiñ
kar ke nādān tamāshā-e-alam kaahe ko
qaid ik ḳhaak ke putle meñ hai aur nāzāñ hai
is qadar ruuh kare ḳhud pe sitam kaahe ko
zo'm ḳhud par ho to is baat se ibrat liijo
nīst-o-nābūd huā bāġh-e-iram kaahe ko
ho ga.iiñ ab to añdheroñ se shanāsā āñkheñ
ab bhalā un pe ujāloñ kā karam kaahe ko
vo to patjhaḌ kā thā mausam use jaanā hī thā
kar diye saare shajar tum ne qalam kaahe ko
dauḌ ham jiit ga.e ab kaho kyā kahte ho
apnī auqāt meñ rahte nahīñ ham kaahe ko
kar ke dushwar yun har ek qadam kahe ko
hum liye phirte rahe bar-e-hasham kahe ko
ashk sab apni rawani mein baha le jate
KHwab hum dekhte ba-dida-e-nam kahe ko
gham ki tasir mein taKHfif kiya karte hain
kar ke nadan tamasha-e-alam kahe ko
qaid ek KHak ke putle mein hai aur nazan hai
is qadar ruh kare KHud pe sitam kahe ko
zo'm KHud par ho to is baat se ibrat lijo
nist-o-nabud hua bagh-e-iram kahe ko
ho gain ab to andheron se shanasa aankhen
ab bhala un pe ujalon ka karam kahe ko
wo to patjhaD ka tha mausam use jaana hi tha
kar diye sare shajar tum ne qalam kahe ko
dauD hum jit gae ab kaho kya kahte ho
apni auqat mein rahte nahin hum kahe ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.