kar ke manzur faisla dil ka
kar ke manzūr faisla dil kā
ho gayā mujh ko tajraba dil kā
koī to paḌhtā mere chehre ko
koī to haal pūchhtā dil kā
maiñ zabāñ kā ḳharāb huuñ lekin
log kahne lage burā dil kā
āsmāñ tak dimāġh kī hai uḌaan
dil talak hī hai dā.era dil kā
jaane kaise bhaTak ga.e ho tum
vaise sīdhā thā rāsta dil kā
hai tabāhī meñ haath donoñ ke
ek terā hai dūsrā dil kā
'ishq kā khel tere bas kā nahīñ
tujh se hogā na haq adā dil kā
aaj lagtā hai choT gahrī hai
aaj lagtā hai dil dukhā dil kā
itnā sanjīda ho gayā 'sūfī'
pahle kitnā thā chulbulā dil kā
kar ke manzur faisla dil ka
ho gaya mujh ko tajraba dil ka
koi to paDhta mere chehre ko
koi to haal puchhta dil ka
main zaban ka KHarab hun lekin
log kahne lage bura dil ka
aasman tak dimagh ki hai uDan
dil talak hi hai daera dil ka
jaane kaise bhaTak gae ho tum
waise sidha tha rasta dil ka
hai tabahi mein hath donon ke
ek tera hai dusra dil ka
'ishq ka khel tere bas ka nahin
tujh se hoga na haq ada dil ka
aaj lagta hai choT gahri hai
aaj lagta hai dil dukha dil ka
itna sanjida ho gaya 'sufi'
pahle kitna tha chulbula dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.