kar ke ulfat yar se pachhtaen kya
kar ke ulfat yaar se pachhtā.eñ kyā
gardish-e-taqdīr se ghabrā.eñ kyā
jab nahīñ qadr-e-ḳhulūs-e-ahl-e-dil
nazr karne ke liye phir laa.eñ kyā
jo guzartī hai guzar jaane bhī do
chārāgar ko hāl-e-dil batlā.eñ kyā
dekh kar be-sāz-o-sāmānī mirī
kah rahe haiñ tere ghar ham aa.eñ kyā
sun ke larzāñ the zamīn-o-āsmāñ
dāstān-e-dard-e-dil dohrā.eñ kyā
jab nahīñ miltā kisī pahlū qarār
dil ko le jā kar kahīñ bahlā.eñ kyā
husn rusvā ho na ai 'aslam' kahīñ
rāzdāñ ko rāz-e-dil batlā.eñ kyā
kar ke ulfat yar se pachhtaen kya
gardish-e-taqdir se ghabraen kya
jab nahin qadr-e-KHulus-e-ahl-e-dil
nazr karne ke liye phir laen kya
jo guzarti hai guzar jaane bhi do
chaaragar ko haal-e-dil batlaen kya
dekh kar be-saz-o-samani meri
kah rahe hain tere ghar hum aaen kya
sun ke larzan the zamin-o-asman
dastan-e-dard-e-dil dohraen kya
jab nahin milta kisi pahlu qarar
dil ko le ja kar kahin bahlaen kya
husn ruswa ho na ai 'aslam' kahin
raazdan ko raaz-e-dil batlaen kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.