kar rahe hain aap apni justuju main aur hawa
kar rahe haiñ aap apnī justujū maiñ aur havā
ek-jā ho jā.eñge shāyad kabhū maiñ aur havā
aa.egī fursat mayassar donoñ ko shāyad kabhī
kar hī leñge der tak phir guftugū maiñ aur havā
bhar ga.ī hai dhund zehnoñ meñ dayār-e-ġhair kī
be-sabab phirte nahīñ haiñ kū-bakū maiñ aur havā
ek sā rahtā kahāñ hai merā aur us kā mizāj
haiñ mulā.em aur kabhī haiñ tund-ḳhud maiñ aur havā
kyā batā.ūñ kis tarah sīñchī hai ham ne shāḳh-shāḳh
pesh aksar kar ga.e apnā lahū maiñ aur havā
jā-ba-jā sargoshiyāñ karne lagīñ parchhā.iyāñ
ghar se bāhar jab kabhī nikle haiñ tū maiñ aur havā
dil laraz uThtā hai aksar is gumāñ par be-tarah
pesh ho jā.eñge ik din rū-ba-rū maiñ aur havā
be-ḳhabar apne se ho kar lā.eñge apnī ḳhabar
is tarah se tai kareñge dasht-e-hū maiñ aur havā
baañT kar aapas meñ kūche aur galiyāñ shahr kī
toḌ deñge nafratoñ kā har subū maiñ aur havā
sochtā huuñ der se lā-hāsilī kī ret par
karte haiñ har ḳhvāb kyoñ nazr-e-numū maiñ aur havā
infirādī soch ham ko kar ga.ī tanhā 'farīd'
ho ga.e begāna-e-har-rang-o-bū maiñ aur havā
kar rahe hain aap apni justuju main aur hawa
ek-ja ho jaenge shayad kabhu main aur hawa
aaegi fursat mayassar donon ko shayad kabhi
kar hi lenge der tak phir guftugu main aur hawa
bhar gai hai dhund zehnon mein dayar-e-ghair ki
be-sabab phirte nahin hain ku-baku main aur hawa
ek sa rahta kahan hai mera aur us ka mizaj
hain mulaem aur kabhi hain tund-KHud main aur hawa
kya bataun kis tarah sinchi hai hum ne shaKH-shaKH
pesh aksar kar gae apna lahu main aur hawa
ja-ba-ja sargoshiyan karne lagin parchhaiyan
ghar se bahar jab kabhi nikle hain tu main aur hawa
dil laraz uThta hai aksar is guman par be-tarah
pesh ho jaenge ek din ru-ba-ru main aur hawa
be-KHabar apne se ho kar laenge apni KHabar
is tarah se tai karenge dasht-e-hu main aur hawa
banT kar aapas mein kuche aur galiyan shahr ki
toD denge nafraton ka har subu main aur hawa
sochta hun der se la-hasili ki ret par
karte hain har KHwab kyon nazr-e-numu main aur hawa
infiradi soch hum ko kar gai tanha 'farid'
ho gae begana-e-har-rang-o-bu main aur hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.