karam-e-KHas ka eajaz dikhaya kis ne
karam-e-ḳhās kā e.ajāz dikhāyā kis ne
Dūbne vaale batā tujh ko bachāyā kis ne
mujh pe ilzām-e-mohabbat to bajā hai lekin
pahle apnā qadam-e-shauq baḌhāyā kis ne
mere dil ne na kahā terī nazar ne na kahā
raaz ulfat kā zamāne ko batāyā kis ne
chāhne vāloñ kī nazroñ ko duā.eñ diije
aap ko ḳhalq meñ mahbūb banāyā kis ne
apnī tanhā.ī-e-vahshat pe hañsī aatī hai
jab na thā koī to phir mujh ko rulāyā kis ne
merī āshuftagī-e-shauq pe hañsne vaale
muskurā kar mujhe dīvāna banāyā kis ne
hairat-e-jalva thī yā sehr-e-tajallī 'mūsā'
mujh ko hī merī nigāhoñ se chhupāyā kis ne
karam-e-KHas ka eajaz dikhaya kis ne
Dubne wale bata tujh ko bachaya kis ne
mujh pe ilzam-e-mohabbat to baja hai lekin
pahle apna qadam-e-shauq baDhaya kis ne
mere dil ne na kaha teri nazar ne na kaha
raaz ulfat ka zamane ko bataya kis ne
chahne walon ki nazron ko duaen dije
aap ko KHalq mein mahbub banaya kis ne
apni tanhai-e-wahshat pe hansi aati hai
jab na tha koi to phir mujh ko rulaya kis ne
meri aashuftagi-e-shauq pe hansne wale
muskura kar mujhe diwana banaya kis ne
hairat-e-jalwa thi ya sehr-e-tajalli 'musa'
mujh ko hi meri nigahon se chhupaya kis ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.