karam mein hai na sitam mein na iltifat mein hai
karam meñ hai na sitam meñ na iltifāt meñ hai
jo baat terī nigāhoñ kī ehtiyāt meñ hai
kuchh is tarah se chale jā rahe haiñ kāñToñ par
ki jaise haath hamārā tumhāre haath meñ hai
diye jale haiñ sajī jā rahī hai kal kī dulhan
ajiib husn ġham-e-zindagī kī raat meñ hai
khaḌī hai sail-e-havādis ke darmiyāñ ab tak
baḌā sabāt marī umr-e-be-sabāt meñ hai
na koī dost kisī kā na koī dushman hai
hamārā dost va dushman hamārī zaat meñ hai
karam mein hai na sitam mein na iltifat mein hai
jo baat teri nigahon ki ehtiyat mein hai
kuchh is tarah se chale ja rahe hain kanTon par
ki jaise hath hamara tumhaare hath mein hai
diye jale hain saji ja rahi hai kal ki dulhan
ajib husn gham-e-zindagi ki raat mein hai
khaDi hai sail-e-hawadis ke darmiyan ab tak
baDa sabaat mari umr-e-be-sabaat mein hai
na koi dost kisi ka na koi dushman hai
hamara dost wa dushman hamari zat mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.