karam nahin to nigah-e-itab rahne de
karam nahīñ to nigāh-e-itāb rahne de
ruḳh-e-hayāt pe koī naqāb rahne de
nigāh-e-nāz nayā inqalāb rahne de
tajalliyāt ko zer-e-naqāb rahne de
mirī nigāh meñ hashr-e-vafā hai ai vaa.iz
abhī ye bahs-e-azāb-o-savāb rahne de
abhī hai dil ko umīd-e-vafā ba-nām-e-vafā
hasīn ḳhvāb hai tābīr-e-ḳhvāb rahne de
nigāh-e-mast hī kaafī hai tere zindoñ ko
sharāb rahne de saaqī sharāb rahne de
shab-e-firāq ke pahlū se jo ubhar aayā
sahar kī god meñ vo āftāb rahne de
karam nahin to nigah-e-itab rahne de
ruKH-e-hayat pe koi naqab rahne de
nigah-e-naz naya inqalab rahne de
tajalliyat ko zer-e-naqab rahne de
meri nigah mein hashr-e-wafa hai ai waiz
abhi ye bahs-e-azab-o-sawab rahne de
abhi hai dil ko umid-e-wafa ba-nam-e-wafa
hasin KHwab hai tabir-e-KHwab rahne de
nigah-e-mast hi kafi hai tere zindon ko
sharab rahne de saqi sharab rahne de
shab-e-firaq ke pahlu se jo ubhar aaya
sahar ki god mein wo aaftab rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.