karam nahin to sitam hi sahi rawa rakhna
karam nahīñ to sitam hī sahī ravā rakhnā
ta.alluqāt vo jaise bhī hoñ sadā rakhnā
kuchh is tarah kī hidāyat milī hai ab ke mujhe
ki sar pe qahr bhī TūTeñ to dil baḌā rakhnā
na āñsuoñ kī ravāñ nahr aañkh se karnā
ab us kī yaad bhī aa.e to hausla rakhnā
kise milā hai milegā kise murād kā phal
so ġhā.ebāna navāzish kī aas kyā rakhnā
ajab nahīñ ki varūd-e-habīb ho jaa.e
zamāna tañg-nazar hai to dil khulā rakhnā
jo dostī ke liye be-qarār rahtā hai
vo koī chaal na chal jaa.e phir patā rakhnā
sitāra arsh se TūTegā ek farsh kī samt
tum apnā ghar dar-o-dīvār tak sajā rakhnā
vafā-shi.ār bhī qudrat thā rūThne vaalā
ravāyatan bhī na naam is kā bevafā rakhnā
karam nahin to sitam hi sahi rawa rakhna
talluqat wo jaise bhi hon sada rakhna
kuchh is tarah ki hidayat mili hai ab ke mujhe
ki sar pe qahr bhi TuTen to dil baDa rakhna
na aansuon ki rawan nahr aankh se karna
ab us ki yaad bhi aae to hausla rakhna
kise mila hai milega kise murad ka phal
so ghaebana nawazish ki aas kya rakhna
ajab nahin ki warud-e-habib ho jae
zamana tang-nazar hai to dil khula rakhna
jo dosti ke liye be-qarar rahta hai
wo koi chaal na chal jae phir pata rakhna
sitara arsh se TuTega ek farsh ki samt
tum apna ghar dar-o-diwar tak saja rakhna
wafa-shiar bhi qudrat tha ruThne wala
rawayatan bhi na nam is ka bewafa rakhna
- Book : Auraaq (Pg. 195)
- Author : Vazeer Agha
- Publication : Office auraq. chouck Urdu Bazar, Lahore (Nov. Dec. 1974)
- Edition : Nov. Dec. 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.