Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karam-nawazi-e-lail-o-nahaar bhi to nahin

Shaira Waheed

karam-nawazi-e-lail-o-nahaar bhi to nahin

Shaira Waheed

MORE BYShaira Waheed

    karam-navāzī-e-lail-o-nahār bhī to nahīñ

    bahut dinoñ se tirā intizār bhī to nahīñ

    maiñ apne jaib-o-garebāñ bhī chaak kar luuñ magar

    mire nasīb meñ koī bahār bhī to nahīñ

    bahār ban ke to aa.e ho merī duniyā meñ

    magar bahār kuchh e.atibār bhī to nahīñ

    tamām umr ḳhamoshī se tum ko puujā hai

    dil-o-nazar pe magar iḳhtiyār bhī to nahīñ

    maiñ sochtī huuñ ki guzregī zindagī kyoñ kar

    ki be-ruḳhī tirī ab nāgavār bhī to nahīñ

    chale bhī aao ḳhudārā ki hai dam-e-āḳhir

    ki mujh meñ tāb-o-tavāñ o qarār bhī to nahīñ

    uTheñ to jaa.eñ kahāñ 'shā.era' yahāñ se ham

    ajal raah rah-e-kū-e-yār bhī to nahīñ

    karam-nawazi-e-lail-o-nahaar bhi to nahin

    bahut dinon se tera intizar bhi to nahin

    main apne jaib-o-gareban bhi chaak kar lun magar

    mere nasib mein koi bahaar bhi to nahin

    bahaar ban ke to aae ho meri duniya mein

    magar bahaar ka kuchh eatibar bhi to nahin

    tamam umr KHamoshi se tum ko puja hai

    dil-o-nazar pe magar iKHtiyar bhi to nahin

    main sochti hun ki guzregi zindagi kyon kar

    ki be-ruKHi teri ab nagawar bhi to nahin

    chale bhi aao KHudara ki hai dam-e-aKHir

    ki mujh mein tab-o-tawan o qarar bhi to nahin

    uThen to jaen kahan 'shaera' yahan se hum

    ajal ki rah rah-e-ku-e-yar bhi to nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now