karam tera ki soz-e-jawedani le ke aai hun
karam terā ki soz-e-jāvedānī le ke aa.ī huuñ
magar ye kyā ki maiñ ik umr-e-fānī le ke aa.ī huuñ
ye kis kāfir kī mahfil hai ki jis meñ nazr karne ko
maiñ dil kī dhaḌkaneñ āñkhoñ kā paanī le ke aa.ī huuñ
ye duniyā ye ḳhulūs-o-ishq ke rang-āfrīñ naġhme
bayābāñ meñ gulistāñ kī kahānī le ke aa.ī huuñ
bhaḌak kar sho.ala ban jaa.e ki bujh kar raakh ho jaa.e
havā kī zad pe sham-e-zindagānī le ke aa.ī huuñ
agar chāhūñ ye duniyā phūñk Dālūñ apne naġhmoñ se
ki maiñ sāñsoñ meñ sho.aloñ kī ravānī le ke aa.ī huuñ
mirā dil bhī hai mahsūsāt kā ātish-kada āḳhir
ajab kyā hai jo zauq-e-sher-ḳhvānī le ke aa.ī huuñ
ziyā-andoz huuñ ik āsmānī nuur se 'najma'
zamīñ par chāñd tāroñ kī javānī le ke aa.ī huuñ
karam tera ki soz-e-jawedani le ke aai hun
magar ye kya ki main ek umr-e-fani le ke aai hun
ye kis kafir ki mahfil hai ki jis mein nazr karne ko
main dil ki dhaDkanen aankhon ka pani le ke aai hun
ye duniya ye KHulus-o-ishq ke rang-afrin naghme
bayaban mein gulistan ki kahani le ke aai hun
bhaDak kar shoala ban jae ki bujh kar rakh ho jae
hawa ki zad pe sham-e-zindagani le ke aai hun
agar chahun ye duniya phunk Dalun apne naghmon se
ki main sanson mein shoalon ki rawani le ke aai hun
mera dil bhi hai mahsusat ka aatish-kada aaKHir
ajab kya hai jo zauq-e-sher-KHwani le ke aai hun
ziya-andoz hun ek aasmani nur se 'najma'
zamin par chand taron ki jawani le ke aai hun
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 168)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.