Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karam un ka KHud hai baDh kar meri hadd-e-iltija se

Arzoo Lakhnavi

karam un ka KHud hai baDh kar meri hadd-e-iltija se

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    karam un ḳhud hai baḌh kar mirī hadd-e-iltijā se

    mujhe sū-e-zan nahīñ hai ki duā karūñ ḳhudā se

    dil-e-mutma.in vus.at koī kam hai mā-sivā se

    mujhe kaahe kamī hai jo talab karūñ ḳhudā se

    huī ḳhatm ġham āñdhī vahī dil lau hai ab bhī

    yahī sho.ala thā vo sho.ala ki laḌā kiyā havā se

    kahe kaun use patiñgā jo hai sho.ale par dhuāñ

    tujhe le uḌe haiñ kitnā tire par zarā zarā se

    jo hai sab dene vaalā maiñ usī ko chāhtā huuñ

    mirī bhiik vo nahīñ hai ki mile kisī gadā se

    ye hai qasr-e-zindagānī ki habāb-e-bahr-e-fānī

    abhī ban gayā havā se abhī miT gayā havā se

    ye ḳhayāl ḳhud hai aisā jo ḳhushī banā de ġham ko

    ki hai ibtidā ḳhushī mire ġham intihā se

    mirā dil razā pe raazī karam us josh par hai

    jo ab aa ga.ī zabāñ tak to asar gayā duā se

    mirī laakh minnatoñ par tirī ik hayā hai bhārī

    koī parda hai vo parda ki hile-Dule havā se

    tire pāk-bāz-e-ulfat nahīñ hārne ke himmat

    jo mareñge Duub kar bhī to mareñge rah ke pyāse

    kisī dil aas yuuñ bhī kabhī 'ārzū' na TuuTe

    ye kahe banī hai dam par vo kahe mirī balā se

    karam un ka KHud hai baDh kar meri hadd-e-iltija se

    mujhe su-e-zan nahin hai ki dua karun KHuda se

    dil-e-mutmain ki wusat koi kam hai ma-siwa se

    mujhe kahe ki kami hai jo talab karun KHuda se

    hui KHatm gham ki aandhi wahi dil ki lau hai ab bhi

    yahi shoala tha wo shoala ki laDa kiya hawa se

    kahe kaun use patinga jo hai shoale par dhuan sa

    tujhe le uDe hain kitna tere par zara zara se

    jo hai sab ka dene wala main usi ko chahta hun

    meri bhik wo nahin hai ki mile kisi gada se

    ye hai qasr-e-zindagani ki habab-e-bahr-e-fani

    abhi ban gaya hawa se abhi miT gaya hawa se

    ye KHayal KHud hai aisa jo KHushi bana de gham ko

    ki hai ibtida KHushi ki mere gham ki intiha se

    mera dil raza pe raazi karam us ka josh par hai

    jo ab aa gai zaban tak to asar gaya dua se

    meri lakh minnaton par teri ek haya hai bhaari

    koi parda hai wo parda ki hile-Dule hawa se

    tere pak-baz-e-ulfat nahin haarne ke himmat

    jo marenge Dub kar bhi to marenge rah ke pyase

    kisi dil ki aas yun bhi kabhi 'arzu' na TuTe

    ye kahe bani hai dam par wo kahe meri bala se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now