karb aankhon se ayan dil mein kasak baqi hai
karb āñkhoñ se ayaañ dil meñ kasak baaqī hai
tere jaane kī ḳhalish aaj talak baaqī hai
us kī ḳhvāhish kā shajar ḳhushk nahīñ ho saktā
jis kī har shāḳh-e-tamannā meñ lachak baaqī hai
phir kisī shaam ke ruḳhsār pe rakh degā vo
din ke chehre pe jo thoḌā sā namak baaqī hai
saiñkaḌoñ baar 'nasīm' us ko to dekhā hai magar
phir bhī lagtā hai abhī ek jhalak baaqī hai
karb aankhon se ayan dil mein kasak baqi hai
tere jaane ki KHalish aaj talak baqi hai
us ki KHwahish ka shajar KHushk nahin ho sakta
jis ki har shaKH-e-tamanna mein lachak baqi hai
phir kisi sham ke ruKHsar pe rakh dega wo
din ke chehre pe jo thoDa sa namak baqi hai
sainkaDon bar 'nasim' us ko to dekha hai magar
phir bhi lagta hai abhi ek jhalak baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.