karb baDhta ja raha hai baam-o-dar ko dekh kar
karb baDhta ja raha hai baam-o-dar ko dekh kar
Majid Jahangeer Mirza
MORE BYMajid Jahangeer Mirza
karb baḌhtā jā rahā hai bām-o-dar ko dekh kar
maiñ musalsal ro rahā huuñ apne ghar ko dekh kar
kyā 'ajab mela lagā hai dahr ke maidān meñ
ādamiyyat dam-ba-ḳhud hai ḳhair-o-shar ko dekh kar
varta-e-hairat meñ haiñ tārīḳh ke aurāq bhī
neze par qur.ān paḌhte ek sar ko dekh kar
kāmyābī ke liye to āzmā.ish shart hai
aur tū khīñche qadam nādīda Dar ko dekh kar
duur rakh is se ḳhudāyā ashk kī sauġhāt ko
jism merā chīḳhtā hai chashm-e-tar ko dekh kar
is Dagar ke kuchh musāfir so rahe haiñ qabr meñ
yaad kyā kuchh aa rahā hai rah-guzar ko dekh kar
chand sāñsoñ par hī takiya kar rahā huuñ āj-kal
ghūrtī hai zindagī zād-e-safar ko dekh kar
sāzishoñ kī bū 'ayāñ 'mājid' huī aflāk se
hañs rahe haiñ sab malā.ik dar-ba-dar ko dekh kar
karb baDhta ja raha hai baam-o-dar ko dekh kar
main musalsal ro raha hun apne ghar ko dekh kar
kya 'ajab mela laga hai dahr ke maidan mein
aadamiyyat dam-ba-KHud hai KHair-o-shar ko dekh kar
warta-e-hairat mein hain tariKH ke auraq bhi
neze par quran paDhte ek sar ko dekh kar
kaamyabi ke liye to aazmaish shart hai
aur tu khinche qadam nadida Dar ko dekh kar
dur rakh is se KHudaya ashk ki saughat ko
jism mera chiKHta hai chashm-e-tar ko dekh kar
is Dagar ke kuchh musafir so rahe hain qabr mein
yaad kya kuchh aa raha hai rah-guzar ko dekh kar
chand sanson par hi takiya kar raha hun aaj-kal
ghurti hai zindagi zad-e-safar ko dekh kar
sazishon ki bu 'ayan 'majid' hui aflak se
hans rahe hain sab malaik dar-ba-dar ko dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.