karb-e-furqat ruh se jata nahin
karb-e-furqat ruuh se jaatā nahīñ
hal koī ġham kā nazar aatā nahīñ
kaash hotā ilm ye insān ko
jo guzar jaatā hai pal aatā nahīñ
miT gayā shikve se lutf-e-intizār
ab hameñ vo raah dikhlātā nahīñ
ham vafā.eñ kar ke bhī haiñ sharmsār
vo jafā.eñ kar ke sharmātā nahīñ
dard vo in.aam hai 'sāhil' ki jo
har kisī insāñ ko raas aatā nahīñ
karb-e-furqat ruh se jata nahin
hal koi gham ka nazar aata nahin
kash hota ilm ye insan ko
jo guzar jata hai pal aata nahin
miT gaya shikwe se lutf-e-intizar
ab hamein wo rah dikhlata nahin
hum wafaen kar ke bhi hain sharmsar
wo jafaen kar ke sharmata nahin
dard wo inam hai 'sahil' ki jo
har kisi insan ko ras aata nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.