karb-e-judai aankhon mein aane nahin diya
karb-e-judā.ī āñkhoñ meñ aane nahīñ diyā
be-kār āñsuon ko bhī jaane nahīñ diyā
maiñ ne nikal ke ḳhud se banāyā tujhe ḳhudā
tū ne aqīdatoñ ko nibhāne nahīñ diyā
kuchh daan maañg letā magar raat dil ne bhī
soī huī parī ko jagāne nahīñ diyā
hotī qubūl us ke sivā kis kī rahbarī
dil ne hī inqilāb uThāne nahīñ diyā
āñkheñ thī merī kitnī rifāqat kī muntazir
maiñ ne unheñ ye ḳhvāb sajāne nahīñ diyā
ik rasm hai vafā ke liye be-vafā.eñ bhī
kyā zulm hai ki us ko nibhāne nahīñ diyā
sach hai use ḳhayāl mirī ḳhvāhishoñ kā thā
maiñ ne hī zer-e-lab unheñ aane nahīñ diyā
ik falsafa usī kī haqīqat se maañg kar
sar ko dar-e-butāñ pe jhukāne nahīñ diyā
karb-e-judai aankhon mein aane nahin diya
be-kar aansuon ko bhi jaane nahin diya
main ne nikal ke KHud se banaya tujhe KHuda
tu ne aqidaton ko nibhane nahin diya
kuchh dan mang leta magar raat dil ne bhi
soi hui pari ko jagane nahin diya
hoti qubul us ke siwa kis ki rahbari
dil ne hi inqilab uThane nahin diya
aankhen thi meri kitni rifaqat ki muntazir
main ne unhen ye KHwab sajaane nahin diya
ek rasm hai wafa ke liye be-wafaen bhi
kya zulm hai ki us ko nibhane nahin diya
sach hai use KHayal meri KHwahishon ka tha
main ne hi zer-e-lab unhen aane nahin diya
ek falsafa usi ki haqiqat se mang kar
sar ko dar-e-butan pe jhukane nahin diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.