karb-e-taKHliq ka chhaya raha manzar mujh par
karb-e-taḳhlīq kā chhāyā rahā manzar mujh par
āyat-e-ishq utartī rahī shab bhar mujh par
ek saa.at ko bhulāyā thā ġham-e-ishq abhī
band hone lagā taḳhlīq kā har dar mujh par
jāgte vaqt vahī shaḳhs labāda thā mirā
nīm-shab ko jo utārā gayā paikar mujh par
chiil kavvoñ kī tarah khā ga.e rishte mere
phir bhī ilzām dharā jaatā hai mujh par mujh par
ḳhalq ne nāvak-e-dushnām se chhalnī kar ke
jabr ke tiir chalā.e haiñ barābar mujh par
shaam hote hī udāsī kī havā chaltī hai
TuuT paḌtā hai ḳhayālāt kā lashkar mujh par
jab kabhī merī tavajjoh meñ ḳhalal aatā hai
phūñk detā hai koī ishq kā mantar mujh par
'ābdī' ishq adāvat hai kahā thā ik din
aks merā hī chalāne lagā ḳhanjar mujh par
karb-e-taKHliq ka chhaya raha manzar mujh par
aayat-e-ishq utarti rahi shab bhar mujh par
ek saat ko bhulaya tha gham-e-ishq abhi
band hone laga taKHliq ka har dar mujh par
jagte waqt wahi shaKHs labaada tha mera
nim-shab ko jo utara gaya paikar mujh par
chil kawwon ki tarah kha gae rishte mere
phir bhi ilzam dhara jata hai mujh par mujh par
KHalq ne nawak-e-dushnam se chhalni kar ke
jabr ke tir chalae hain barabar mujh par
sham hote hi udasi ki hawa chalti hai
TuT paDta hai KHayalat ka lashkar mujh par
jab kabhi meri tawajjoh mein KHalal aata hai
phunk deta hai koi ishq ka mantar mujh par
'abdi' ishq adawat hai kaha tha ek din
aks mera hi chalane laga KHanjar mujh par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.