karb hai karb ki aawaz barabar hai yahi
karb hai karb kī āvāz barābar hai yahī
terī qīmat hai yahī terā muqaddar hai yahī
jī meñ hai ab kisī darvāze pe dastak de duuñ
aur phir pūchhūñ ki ai shaḳhs mirā ghar hai yahī
kaun samjhegā agar maiñ ne kahī bhī rūdād
chup hī ho jā.ūñ mire vāste behtar hai yahī
ab to jo zarra bhī dāman se lipaT jaatā hai
maiñ samajhtā huuñ mirā mehr-e-munavvar hai yahī
chāñdnī-rāt meñ ḳhud apne hī saa.e se milūñ
merā mūnis hai yahī ab mirā rahbar hai yahī
ab to har lahza har ik moḌ pe hotā hai gumāñ
jis ke baare meñ sunā ham ne vo mahshar hai yahī
she'r kahne ko to ham ne bhī kahe haiñ 'nūrī'
ye jo ḳhāmosh sā baiThā hai suḳhanvar hai yahī
karb hai karb ki aawaz barabar hai yahi
teri qimat hai yahi tera muqaddar hai yahi
ji mein hai ab kisi darwaze pe dastak de dun
aur phir puchhun ki ai shaKHs mera ghar hai yahi
kaun samjhega agar main ne kahi bhi rudad
chup hi ho jaun mere waste behtar hai yahi
ab to jo zarra bhi daman se lipaT jata hai
main samajhta hun mera mehr-e-munawwar hai yahi
chandni-raat mein KHud apne hi sae se milun
mera munis hai yahi ab mera rahbar hai yahi
ab to har lahza har ek moD pe hota hai guman
jis ke bare mein suna hum ne wo mahshar hai yahi
she'r kahne ko to hum ne bhi kahe hain 'nuri'
ye jo KHamosh sa baiTha hai suKHanwar hai yahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.