karb main Dube hue KHun-rez manzar rakh diye
karb main Dube hue KHun-rez manzar rakh diye
Shan-e-Haider Bebak Amrohvi
MORE BYShan-e-Haider Bebak Amrohvi
karb maiñ Duube hue ḳhūñ-rez manzar rakh diye
kis ne merī ḳhushk āñkhoñ meñ samundar rakh diye
dekh kar shauq-e-shahādat bar-sar-e-maqtal mirā
qātiloñ ne haath se ghabrā ke ḳhanjar rakh diye
tīrgī firqa-parastī kī baḌhī tab zulm ne
raushnī ke vāste jalte hue ghar rakh diye
chhoḌ kar sab kuchh chalā thā jānib-e-manzil junūñ
kyoñ ḳhirad ne raah meñ rishtoñ ke patthar rakh diye
vo baḌe ma.asūm lafzoñ meñ kiyā kartā thā baat
kis ne us ke ras-bhare lahje meñ nashtar rakh diye
maiñ ne sochā thā miTā duuñ yād-e-māzī ke nuqūsh
niiñd ne āñkhoñ meñ phir yādoñ ke paikar rakh diye
laġhzishoñ meñ yuuñ to donoñ the barābar ke sharīk
us ne sab ilzām lekin mere sar par rakh diye
maiñ ne bas itnā kahā thā aap kyoñ nārāz haiñ
us ne mere rū-ba-rū shikvoñ ke daftar rakh diye
mai-kashī ke vāste 'bebāk' sochā tak na thā
us ne mere sāmne āñkhoñ ke sāġhar rakh diye
karb main Dube hue KHun-rez manzar rakh diye
kis ne meri KHushk aankhon mein samundar rakh diye
dekh kar shauq-e-shahadat bar-sar-e-maqtal mera
qatilon ne hath se ghabra ke KHanjar rakh diye
tirgi firqa-parasti ki baDhi tab zulm ne
raushni ke waste jalte hue ghar rakh diye
chhoD kar sab kuchh chala tha jaanib-e-manzil junun
kyon KHirad ne rah mein rishton ke patthar rakh diye
wo baDe masum lafzon mein kiya karta tha baat
kis ne us ke ras-bhare lahje mein nashtar rakh diye
main ne socha tha miTa dun yaad-e-mazi ke nuqush
nind ne aankhon mein phir yaadon ke paikar rakh diye
laghzishon mein yun to donon the barabar ke sharik
us ne sab ilzam lekin mere sar par rakh diye
main ne bas itna kaha tha aap kyon naraaz hain
us ne mere ru-ba-ru shikwon ke daftar rakh diye
mai-kashi ke waste 'bebak' socha tak na tha
us ne mere samne aankhon ke saghar rakh diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.