kare ‘arz-e-tamanna KHak koi us sitamgar se
kare ‘arz-e-tamannā ḳhaak koī us sitamgar se
zabāñ kaTtī hai ab to baat par ḳhanjar nikalte haiñ
sivā hai fitna-e-mahshar se bhī tūl-e-'amal un kā
tire gesū tire qāmat se bhī gaz-bhar nikalte haiñ
qafas meñ bhī to mujh par ye sitam sayyād Dhātā hai
katar detā hai das gintī ke jab do par nikalte haiñ
bañdhā rahtā hai shīrāza jo muTThī band rahtī hai
bharam khote haiñ jab jaame se gul bāhar nikalte haiñ
chalo phir 'barq' maiḳhāne chaleñ phir toḌ leñ tauba
abhī to apne hī kuchh daam saaqī par nikalte haiñ
kare ‘arz-e-tamanna KHak koi us sitamgar se
zaban kaTti hai ab to baat par KHanjar nikalte hain
siwa hai fitna-e-mahshar se bhi tul-e-'amal un ka
tere gesu tere qamat se bhi gaz-bhar nikalte hain
qafas mein bhi to mujh par ye sitam sayyaad Dhata hai
katar deta hai das ginti ke jab do par nikalte hain
bandha rahta hai shiraaza jo muTThi band rahti hai
bharam khote hain jab jame se gul bahar nikalte hain
chalo phir 'barq' maiKHane chalen phir toD len tauba
abhi to apne hi kuchh dam saqi par nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.