karega apni baaton par malal aahista-ahista
karega apni baaton par malal aahista-ahista
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
karegā apnī bātoñ par malāl āhista-āhista
paḌegā raushnī kā us ko kaal āhista-āhista
na un ko koī ujlat hai na koī kār-e-duniyā hai
dikhā apne faqīroñ ko jamāl āhista-āhista
muḳhālif saf meñ merā yaar mujh se laḌne aaya hai
uThā.ūñgā magar apnī maiñ Dhaal āhista-āhista
kabhī yakjā nahīñ hote diloñ ko toḌne vaale
badal jaate haiñ un ke ḳhadd-o-ḳhāl āhista-āhista
maiñ apne hijr ko nigrāñ banā kar lauT aaya thā
bunā hai makḌiyoñ ne zard jaal āhista-āhista
ye maiñ logoñ ke dil meñ ghar jo kar letā huuñ ujlat meñ
huā hai mujh ko hāsil ye kamāl āhista-āhista
ye kār-e-ishq hai aur is meñ sab ghar-bār luTtā hai
bichhaḌte haiñ idhar ahl-o-ayāl āhista-āhista
mire ghar meñ ġhamoñ kī aaj phir bārāt aa.egī
kareñgī dhaḌkaneñ im-shab dhamāl āhista-āhista
mirī raftār kī koī yahāñ pe had na hotī thī
kiyā hai ishq ne mujh ko niDhāl āhista-āhista
zabāñ ke zaḳhm 'mustahsan' kisī ko bhūlte kab haiñ
utartī hai daraḳhtoñ se ye chhāl āhista-āhista
karega apni baaton par malal aahista-ahista
paDega raushni ka us ko kal aahista-ahista
na un ko koi ujlat hai na koi kar-e-duniya hai
dikha apne faqiron ko jamal aahista-ahista
muKHalif saf mein mera yar mujh se laDne aaya hai
uThaunga magar apni main Dhaal aahista-ahista
kabhi yakja nahin hote dilon ko toDne wale
badal jate hain un ke KHadd-o-KHal aahista-ahista
main apne hijr ko nigran bana kar lauT aaya tha
buna hai makDiyon ne zard jal aahista-ahista
ye main logon ke dil mein ghar jo kar leta hun ujlat mein
hua hai mujh ko hasil ye kamal aahista-ahista
ye kar-e-ishq hai aur is mein sab ghar-bar luTta hai
bichhaDte hain idhar ahl-o-ayal aahista-ahista
mere ghar mein ghamon ki aaj phir baraat aaegi
karengi dhaDkanen im-shab dhamal aahista-ahista
meri raftar ki koi yahan pe had na hoti thi
kiya hai ishq ne mujh ko niDhaal aahista-ahista
zaban ke zaKHm 'mustahsan' kisi ko bhulte kab hain
utarti hai daraKHton se ye chhaal aahista-ahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.