karega qadr jo duniya mein apne aane ki
karegā qadr jo duniyā meñ apne aane kī
usī kī jaan ko lazzat milegī jaane kī
na pūchho baiThā huuñ kyoñ haath par maiñ haath dhare
uThūñgā nabz zarā dekh luuñ zamāne kī
maza bhī aatā hai duniyā se dil lagāne meñ
sazā bhī miltī hai duniyā se dil lagāne kī
guhar jo dil meñ nihāñ haiñ ḳhudā hī de to mileñ
usī ke paas hai miftāh is ḳhazāne kī
karega qadr jo duniya mein apne aane ki
usi ki jaan ko lazzat milegi jaane ki
na puchho baiTha hun kyon hath par main hath dhare
uThunga nabz zara dekh lun zamane ki
maza bhi aata hai duniya se dil lagane mein
saza bhi milti hai duniya se dil lagane ki
guhar jo dil mein nihan hain KHuda hi de to milen
usi ke pas hai miftah is KHazane ki
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 108)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.