karen hain nauha abas dekh dostan tanha
karen hain nauha abas dekh dostan tanha
Mirza Mohammad Ali Fidvi
MORE BYMirza Mohammad Ali Fidvi
kareñ haiñ nauha abas dekh dostāñ tanhā
adam se aa.e the tanhā chale vahāñ tanhā
nasīm-e-sub.h hai lag chalne meñ har ek yahāñ
nikaliye ghar se na juuñ mehr mehrbāñ tanhā
kiyā hai shauq ne parvāna sham.a-e-aiman kā
talab meñ us kī huuñ shab-gard jāñ-fishāñ tanhā
nikaltī kaash na baize se andalīb apne
huī asīr-e-qafas bhī to aah yaañ tanhā
hameñ to aks bhī apnā nazar nahīñ aatā
vo tīra-baḳht haiñ ham zer-e-āsmāñ tanhā
ġhubār ho ke mirā gard-o-bād kis ke liye
phire hai dasht meñ har-sū davāñ-davāñ tanhā
vo apne saa.e ke hote hijāb kartā hai
ḳhat us ko dījiyo qāsid mile jahāñ tanhā
hameñ bhī zer-e-falak apnī jaan bhārī hai
habāb hī nahīñ hastī se sargirāñ tanhā
phireñ haiñ bāl-fishāñ bulbuloñ ke jhunD ke jhunD
bhalī lage hai kise sair-e-bostāñ tanhā
sabā mile kahīñ gar qāfila to kiijo ḳhabar
bhaTak-bhaTak koī ro.e hai kar fuġhāñ tanhā
nahīñ sharīk bure vaqt kā kisī ke koī
paḌā karāhe hai rātoñ ye nā-tavāñ tanhā
huā nasīb ye sahrā-e-bekasī ai vaa.e
falak ne lā mujhe vārid kiyā kahāñ tanhā
nikal gayā tire hāthoñ kahāñ hai yaañ 'fidvī'
vo hovegā kisī jangal meñ ḳhasta-jāñ tanhā
karen hain nauha abas dekh dostan tanha
adam se aae the tanha chale wahan tanha
nasim-e-subh hai lag chalne mein har ek yahan
nikaliye ghar se na jun mehr mehrban tanha
kiya hai shauq ne parwana shama-e-aiman ka
talab mein us ki hun shab-gard jaan-fishan tanha
nikalti kash na baize se andalib apne
hui asir-e-qafas bhi to aah yan tanha
hamein to aks bhi apna nazar nahin aata
wo tira-baKHt hain hum zer-e-asman tanha
ghubar ho ke mera gard-o-baad kis ke liye
phire hai dasht mein har-su dawan-dawan tanha
wo apne sae ke hote hijab karta hai
KHat us ko dijiyo qasid mile jahan tanha
hamein bhi zer-e-falak apni jaan bhaari hai
habab hi nahin hasti se sargiran tanha
phiren hain baal-fishan bulbulon ke jhunD ke jhunD
bhali lage hai kise sair-e-bostan tanha
saba mile kahin gar qafila to kijo KHabar
bhaTak-bhaTak koi roe hai kar fughan tanha
nahin sharik bure waqt ka kisi ke koi
paDa karahe hai raaton ye na-tawan tanha
hua nasib ye sahra-e-bekasi ai wae
falak ne la mujhe warid kiya kahan tanha
nikal gaya tere hathon kahan hai yan 'fidwi'
wo howega kisi jangal mein KHasta-jaan tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.