Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karenge choT hawaon pe kargar to ho

Navin Joshi

karenge choT hawaon pe kargar to ho

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    kareñge choT havāoñ pe kārgar to ho

    bahāv un badal jaa.e ye asar to ho

    safar ye zindagī is qadar hai lāzim kyoñ

    safar meñ ham haiñ magar ham meñ ye safar to ho

    ma.ānī manziloñ aur rāstoñ ke hai tab

    ki lauTne ko musāfir ke koī ghar to ho

    haañ lutf rūThne bhī unheñ mile lekin

    hamāre paas manāne kuchh hunar to ho

    jabīñ pe ḳhaak yahāñ lagā ke ghūmeñge

    galī se apnī kabhī un bhī guzar to ho

    jidhar vo hai vahāñ ham na ho to kidhar jaa.eñ

    idhar vo ho nahīñ sakte to ham udhar to ho

    rahī talāsh hameñ umr bhar sahar so

    talāsh meñ kahīñ apnī bhī ik sahar to ho

    nazar agar hai tirī to nazar nahīñ aatī

    nazar ko aa.e nazar aisī ik nazar to ho

    karenge choT hawaon pe kargar to ho

    bahaw un ka badal jae ye asar to ho

    safar ye zindagi ka is qadar hai lazim kyon

    safar mein hum hain magar hum mein ye safar to ho

    maani manzilon aur raston ke hai tab hi

    ki lauTne ko musafir ke koi ghar to ho

    han lutf ruThne ka bhi unhen mile lekin

    hamare pas manane ka kuchh hunar to ho

    jabin pe KHak yahan ki laga ke ghumenge

    gali se apni kabhi un ka bhi guzar to ho

    jidhar wo hai wahan hum na ho to kidhar jaen

    idhar wo ho nahin sakte to hum udhar to ho

    rahi talash hamein umr bhar sahar ki so

    talash mein kahin apni bhi ek sahar to ho

    nazar agar hai teri to nazar nahin aati

    nazar ko aae nazar aisi ek nazar to ho

    Source :
    • Book : Word File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now