karenge humse taqabul ye kya jahan wale
kareñge ham se taqābul ye kyā jahāñ vaale
bahār vaale kahāñ aur kahāñ ḳhizāñ vaale
kiyā thā vaqt-e-shahādat jo āḳhirī sajda
usī zamīñ pe utarte haiñ āsmāñ vaale
namāz-e-fajr pe bedārī kā sabab hai yahī
hamāre sīnoñ meñ rahte haiñ vo azaañ vaale
vo jis ke dar pe utarte haiñ āsmāñ ke log
duā.eñ dete haiñ ham ko vahī makāñ vaale
ab us maqām pe apnā qiyām rahtā hai
ki naaz karte haiñ jis par sabhī jināñ vaale
suno ki aaj bhī maqtal se aa rahī hai sadā
bachā ke le ga.e insāniyat sināñ vaale
falak pe rauñdā thā nālain se jinheñ ik roz
vo ham ne rāste dekhe haiñ kahkashāñ vaale
vo jin ke sīnoñ pe haiñ naqsh-e-mātamī sūraj
ujāle baañT rahe haiñ vahī nishāñ vaale
karenge hum se taqabul ye kya jahan wale
bahaar wale kahan aur kahan KHizan wale
kiya tha waqt-e-shahadat jo aaKHiri sajda
usi zamin pe utarte hain aasman wale
namaz-e-fajr pe bedari ka sabab hai yahi
hamare sinon mein rahte hain wo azan wale
wo jis ke dar pe utarte hain aasman ke log
duaen dete hain hum ko wahi makan wale
ab us maqam pe apna qiyam rahta hai
ki naz karte hain jis par sabhi jinan wale
suno ki aaj bhi maqtal se aa rahi hai sada
bacha ke le gae insaniyat sinan wale
falak pe raunda tha nalain se jinhen ek roz
wo hum ne raste dekhe hain kahkashan wale
wo jin ke sinon pe hain naqsh-e-matami suraj
ujale banT rahe hain wahi nishan wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.